HAMARI DHARTI
Hey manav tune Kya nahi paya,
Dhrati maa aur uski khushal chhaya,
Pine ko pani , dhakne ko Kaya,khane ko
Ann,aur apne maa ki Maya.
Hey manav tune Kya nahi paya..
Janwar pakshiya,Khet aur khalihano ki haryali,
Jo hai hamare prakirtik parivesh,
Dete hai hame ye sandesh..
Ki hey manav tu ne Kya nahi paya.
Mat karo inhe nasht,nahi to milenge
Jeevan me kast hi kast.
Tum inke Bina Na ji paoge.
Koshoge khud ko aur pachhtaoge,
Sochoge ki ,Mai manav Kya nahi paya.